dil-o-dīda  par  kyā  ijāra  hamārā
na  sahrā  hamārā  na  dariyā  hamārā
falak  bhī  jo  chāhe  to  achchhe  na  hoñge
hamārā  adū  hai  masīhā  hamārā
garebān  vahshat  ne  phāḌā  to  kyā  ġham
ḳhudā  rakhne  vaalā  hai  parda  hamārā
mohabbat  nibhe  but  ki  ho  ḳhāna-e-dil
hamārā  tumhārā  tumhārā  hamārā
ham  ai  'rashk'  miTte  rahe  aabrū  par
rahā  naqsh-bar-āb  naqsha  hamārā