har  haqīqat  ko  gumāñ  tak  sochūñ
maiñ  bahāroñ  ko  ḳhizāñ  tak  sochūñ
guftugū  talḳh  haqā.eq  se  bhī  ho
ḳhvāb  hī  ḳhvāb  kahāñ  tak  sochūñ
har  qadam  ek  muamma  ban  jaa.e
zindagī  tujh  ko  jahāñ  tak  sochūñ
soch  ban  jaatī  hai  girdāb-e-balā
ek  hī  baat  kahāñ  tak  sochūñ
hadd-e-parvāz  mirī  itnī  hai
lā-makāñ  ko  bhī  makāñ  tak  sochūñ
dastaras  kis  kī  mudāvā  kaisā
dard  ko  sirf  fuġhāñ  tak  sochūñ
nāpūñ  jazboñ  ko  bhī  paimānoñ  se
ashk  ko  āb-e-ravāñ  tak  sochūñ
tū  nahīñ  paas  tirī  yaad  to  hai
tū  hī  to  sūjhe  jahāñ  tak  sochūñ