khaḌe  haiñ  muusā  uThāo  pardā  dikhāo  tum  āb-o-tāb-e-āriz
hijāb  kyuuñ  hai  ki  ḳhud  tajallī  banī  huī  hai  hijāb-e-āriz
na  ruk  sakegī  ziyā-e-āriz  jo  sadd-e-rah  ho  naqāb-e-āriz
vo  hogī  be-parda  rakh  ke  pardā  ġhazab  kī  chanchal  hai  tāb-e-āriz
chhupā  na  muñh  donoñ  haath  se  yuuñ  taḌaptī  hai  barq-e-tāb-e-āriz
lagā  na  de  aag  uñgliyoñ  meñ  ye  garmī-e-iztirāb-e-āriz
jo  un  ko  lipTā  ke  gaal  chūmā  hayā  se  aane  lagā  pasīna
huī  hai  bosoñ  kī  garm  bhaTTī  khiñche  na  kyuuñ  kar  sharāb-e-āriz
parī  jo  dekhe  kahe  taḌap  kar  jo  huur  dekhe  kahe  phaḌak  kar
tumhārā  gesū  javāb-e-gesū  tumhārā  aariz  javāb-e-āriz
huzūr  ghuñghaT  uThā  ke  aa.eñ  baḌī  chamak  kis  meñ  hai  dikhā.eñ
idhar  rahe  āftāb-e-mahshar  udhar  rahe  āftāb-e-āriz
chhupānā  kyā  ek  kā  thā  manzūr  aaj  tak  haiñ  jo  chaar  mash.hūr
zabūr  tauret  mus.haf  injīl  pāñchvīñ  hai  kitāb-e-āriz
na  kyuuñ  ho  da.avā  barābarī  kā  vahāñ  milā  til  yahāñ  suvaidā
ye  nuqta-e-intiḳhāb-e-āriz  hai  vo  nuqta-e-intiḳhāb-e-āriz
paḌā  huuñ  ġhash  meñ  mujhe  suñghā  do  pasīna  chehre  kā  zulf  kī  bū
nahīñ  hai  kam  laḳhlaḳhe  se  mujh  ko  ye  mushk-e-gesū  gulāb-e-āriz
jo  sho.ala-rū  muñh  chhupā  ke  niklā  dhuāñ  sar-e-rāh  kuchh  kuchh  uTThā
lagī  vo  ātish  bane  hai  jal  kar  naqāb-e-āriz  kabāb-e-āriz
na  jhepo  sub.h-e-visāl  dekho  tum  aañkh  se  aañkh  to  milāo
liye  haiñ  gin  gin  ke  maiñ  ne  bose  zabān  par  hai  hisāb-e-āriz
karo  na  ġhusse  se  laal  chehrā  bhavoñ  meñ  Daalo  na  bal  ḳhudārā
nahīñ  majāl-e-jalāl-e-abrū  nahīñ  hai  tāb-e-itāb-e-āriz
jo  gaal  par  gaal  ham  rakheñge  shab-e-visāl  un  ke  haath  uTheñge
tamāñche  māreñge  pyaar  se  vo  bajeñgge  chañg-o-rubāb-e-āriz
kamar  ko  gardan  ko  dast-o-lab  ko  visāl  meñ  lutf  de  rahā  hai
shabāb-e-zānū  shabāb-e-bāzū  shabāb-e-sīna  shabāb-e-āriz
janāb-e-'mā.il'  ye  kūdak-e-dil  butoñ  kī  ulfat  meñ  hogā  kāmil
paḌhāo  qur.āñ  ke  badle  is  ko  bayāz-e-gardan  kitāb-e-āriz