Ahmad Husain Mail

ru-e-taban mang mu-e-sar dhuan batti charagh

Ahmad Husain Mail

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1914
rū-e-tābāñ maañg mū-e-sar dhuāñ battī charāġh
kyā nahīñ insāñ kī gardan par dhuāñ battī charāġh
kuchh na pūchho zāhidoñ ke batin-o-zāhir kā haal
hai añdherā ghar meñ aur bāhar dhuāñ battī charāġh
dūd-e-afġhān-o-rag-e-jān-o-suvaidā dil meñ hai
band hai qindīl ke andar dhuāñ battī charāġh
tuur par jā kar charāġh-e-tūr kyuuñ dekhe koī
kyā makānoñ meñ nahīñ patthar dhuāñ battī charāġh
ho muāfiq kyūñkar ai parvāne sāya-gustarī
hai muḳhālif zer-e-bāl-o-par dhuāñ battī charāġh
kāñptā hai haath tāsīr-e-dil-e-betāb se
maiñ karūñ raushan to ho muztar dhuāñ battī charāġh
sūrat-e-baḳhshish dikhāveñ kāġhaz-o-satr-o-hurūf
ho amal-nāma sar-e-mahshar dhuāñ battī charāġh
ḳhizr hai bahrī musāfir kā manār-e-raushnī
hai jahāzoñ ke liye rahbar dhuāñ battī charāġh
kyā zarūrat raushnī kī be-ḳhudī kī bazm meñ
zulf-e-sāqī mauj-e-mai sāġhar dhuāñ battī charāġh
sho.ala-rūyoñ ke muqābil rañg jamtā hī nahīñ
uḌ na jaa.e bazm se ban kar dhuāñ battī charāġh
kis salīqe se hai raushan mahfil-e-arz-o-samā
āsmāñ par chāñd hai ghar ghar dhuāñ battī charāġh
sub.h tak karte rahe raushan diloñ se hamsarī
shaam se raushan nafas ho kar dhuāñ battī charāġh
ishq kī garmī ne phūñkā parde parde meñ mujhe
merī chādar meñ mirā bistar dhuāñ battī charāġh
zulf-o-ruḳhsār-o-nazar haiñ dushman-e-īmān-o-dīñ
lūTne nikle haiñ vo le kar dhuāñ battī charāġh
maiñ vo taa.ir huuñ jo huuñ kam-ḳharch aur bālā-nashīñ
ek jugnū yaañ hai aur ghar ghar dhuāñ battī charāġh
shab ko 'mā.il' vaqt-e-ārā.ish musāhib the yahī
phuul surma aa.ina zevar dhuāñ battī charāġh
Top Urdushayar.com