rū-e-tābāñ  maañg  mū-e-sar  dhuāñ  battī  charāġh
kyā  nahīñ  insāñ  kī  gardan  par  dhuāñ  battī  charāġh
kuchh  na  pūchho  zāhidoñ  ke  batin-o-zāhir  kā  haal
hai  añdherā  ghar  meñ  aur  bāhar  dhuāñ  battī  charāġh
dūd-e-afġhān-o-rag-e-jān-o-suvaidā  dil  meñ  hai
band  hai  qindīl  ke  andar  dhuāñ  battī  charāġh
tuur  par  jā  kar  charāġh-e-tūr  kyuuñ  dekhe  koī
kyā  makānoñ  meñ  nahīñ  patthar  dhuāñ  battī  charāġh
ho  muāfiq  kyūñkar  ai  parvāne  sāya-gustarī
hai  muḳhālif  zer-e-bāl-o-par  dhuāñ  battī  charāġh
kāñptā  hai  haath  tāsīr-e-dil-e-betāb  se
maiñ  karūñ  raushan  to  ho  muztar  dhuāñ  battī  charāġh
sūrat-e-baḳhshish  dikhāveñ  kāġhaz-o-satr-o-hurūf
ho  amal-nāma  sar-e-mahshar  dhuāñ  battī  charāġh
ḳhizr  hai  bahrī  musāfir  kā  manār-e-raushnī
hai  jahāzoñ  ke  liye  rahbar  dhuāñ  battī  charāġh
kyā  zarūrat  raushnī  kī  be-ḳhudī  kī  bazm  meñ
zulf-e-sāqī  mauj-e-mai  sāġhar  dhuāñ  battī  charāġh
sho.ala-rūyoñ  ke  muqābil  rañg  jamtā  hī  nahīñ
uḌ  na  jaa.e  bazm  se  ban  kar  dhuāñ  battī  charāġh
kis  salīqe  se  hai  raushan  mahfil-e-arz-o-samā
āsmāñ  par  chāñd  hai  ghar  ghar  dhuāñ  battī  charāġh
sub.h  tak  karte  rahe  raushan  diloñ  se  hamsarī
shaam  se  raushan  nafas  ho  kar  dhuāñ  battī  charāġh
ishq  kī  garmī  ne  phūñkā  parde  parde  meñ  mujhe
merī  chādar  meñ  mirā  bistar  dhuāñ  battī  charāġh
zulf-o-ruḳhsār-o-nazar  haiñ  dushman-e-īmān-o-dīñ
lūTne  nikle  haiñ  vo  le  kar  dhuāñ  battī  charāġh
maiñ  vo  taa.ir  huuñ  jo  huuñ  kam-ḳharch  aur  bālā-nashīñ
ek  jugnū  yaañ  hai  aur  ghar  ghar  dhuāñ  battī  charāġh
shab  ko  'mā.il'  vaqt-e-ārā.ish  musāhib  the  yahī
phuul  surma  aa.ina  zevar  dhuāñ  battī  charāġh