jumbish  meñ  zulf-e-pur-shikan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
gardish  meñ  chashm-e-sehr-e-fan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
aariz  pe  zulf-e-pur-shikan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
haiñ  aaj  do  sūraj-gahan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
matlab  ishāroñ  se  kahā  maiñ  in  ishāroñ  ke  fidā
āñkheñ  bhī  haiñ  garm-e-suḳhan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
jis  dam  sikandar  mar  gayā  hāl-e-tahī-dastī  khulā
the  haath  bairūn-e-kafan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
jā.egā  do  ho  kar  ye  dil  aadhā  idhar  aadhā  udhar
khīñchegī  zulf-e-pur-shikan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
ġhairoñ  se  khel  khelo  na  tum  kar  deñge  rusvā  hashr  meñ
haiñ  do  farishte  jān-e-man  ek  is  taraf  ek  us  taraf
aariz  pe  simTe  ḳhud-ba-ḳhud  zulfoñ  ke  ghūñgar  vaale  baal
hai  nāfa-e-mushk-e-ḳhutan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
shīrīñ  kā  ḳhvāhāñ  hashr  meñ  ḳhusrav  bhī  hai  farhād  bhī
khīñcheñge  donoñ  pairahan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
ghūñgaT  jo  gāloñ  se  uThā  tār-e-nazāra  jal  gayā
sūraj  the  do  jalva-figan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
qātil  idhar  jarrāh  udhar  maiñ  nīm-bismil  ḳhaak  par
ik  tīr-e-kash  ik  tīr-e-zan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
āñkhoñ  ke  andar  jaa.e  ġhair  āñkhoñ  ke  uupar  hai  naqāb
ḳhalvat  meñ  haiñ  do  anjuman  ek  is  taraf  ek  us  taraf
vo  hāthā-pā.ī  ham  ne  kī  bistar  pe  TuuTe  aur  gire
baazū  ke  donoñ  nau-ratan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
pesh-e-ḳhudā  roz-e-jazā  maiñ  bhī  huuñ  chup  qātil  bhī  chup
goyā  khaḌe  haiñ  be-dahan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
ruḳhsār  par  ḳhat  kā  nishāñ  gul  par  huā  sabza  ayaañ
haiñ  donoñ  aariz  do  chaman  ek  is  taraf  ek  us  taraf
kāfir  bhī  huuñ  momin  bhī  huuñ  jalnā  bhī  hai  gaḌnā  bhī  hai
khīñcheñge  shaiḳh-o-barahman  ek  is  taraf  ek  us  taraf
ghabrā  na  jaa.eñ  dil-jigar  hai  band  turbat  meñ  havā
pañkhe  hoñ  do  nazd-e-kafan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
yārab  uThūñ  jab  qabr  se  do  but  raheñ  ham-rah  mire
ġhārat-gar-e-hindu-o-dakan  ek  is  taraf  ek  us  taraf
kahte  haiñ  anmol  us  ko  sab  kahte  haiñ  kuchh  gol  us  ko  sab
kyā  chiiz  hai  ai  jān-e-man  ek  is  taraf  ek  us  taraf
jannat  kī  hūreñ  aa.iiñ  haiñ  'mā.il'  dabāne  mere  paañv
baiThī  haiñ  nazdīk-e-kafan  ek  is  taraf  ek  us  taraf