pyaar  apne  pe  jo  aatā  hai  to  kyā  karte  haiñ
ā.īna  dekh  ke  muñh  chuum  liyā  karte  haiñ
vasl  kā  lutf  mujhe  vasl  se  pahle  hī  milā
jab  kahā  yaar  ne  ghabrā  ke  ye  kyā  karte  haiñ
is  qadar  thā  mujhe  ulfat  meñ  bharosā  un  par
kī  jafā  bhī  to  ye  samjhā  ki  vafā  karte  haiñ
hai  yahī  arz  ḳhudā  se  ki  fulāñ  but  mil  jaa.e
vahī  achchhe  jo  namāzoñ  meñ  duā  karte  haiñ
lab  kisī  ke  jo  hile  kaan  udhar  dhyān  udhar
dil  lagā  kar  vo  mirā  zikr  sunā  karte  haiñ
subah  ko  dekh  ke  ā.īne  meñ  bose  kā  nishāñ
muskurāte  hue  hoñToñ  meñ  gilā  karte  haiñ
kaise  kaise  mujhe  be-sāḳhta  milte  haiñ  ḳhitāb
ġhussa  aatā  hai  to  kyā  kyā  vo  kahā  karte  haiñ
kyā  huā  mujh  ko  raqīboñ  ne  agar  dī  tāzīm
terī  mahfil  meñ  to  fitne  hī  uThā  karte  haiñ
kaan  bātoñ  kī  taraf  aañkh  hai  kāmoñ  kī  taraf
ho  ke  anjān  mirā  zikr  sunā  karte  haiñ
chiin  peshānī  pe  hai  mauj-e-tabassum  lab  meñ
aise  hañsmukh  haiñ  ki  ġhusse  meñ  hañsā  karte  haiñ
bas  to  chaltā  nahīñ  kuchh  kah  ke  unheñ  kyuuñ  hoñ  zalīl
ham  to  apnā  hī  lahū  aap  piyā  karte  haiñ
is  ishāre  ke  fidā  aise  tajāhul  ke  nisār
maar  kar  aañkh  vo  muñh  pher  liyā  karte  haiñ
jalse  hī  jalse  haiñ  jab  se  vo  hue  ḳhud-muḳhtār
koī  itnā  nahīñ  kahtā  ki  ye  kyā  karte  haiñ
āshiqāna  hai  aqīda  bhī  hamārā  'mā.il'
le  ke  ham  nām-e-butāñ  zikr-e-ḳhudā  karte  haiñ