kyuuñ  shauq  baḌh  gayā  ramazāñ  meñ  siñgār  kā
roza  na  TuuT  jaa.e  kisī  roza-dār  kā
un  kā  vo  shoḳhiyoñ  se  phaḌaknā  palañg  par
vo  chhātiyoñ  pe  loTnā  phūloñ  ke  haar  kā
huur  aa.e  ḳhuld  se  to  biThā.ūñ  kahāñ  use
ārāsta  ho  ek  to  konā  mazār  kā
shīshoñ  ne  tarz  uḌaa.ī  rukū  o  qayām  kī
kyā  in  meñ  hai  lahū  kisī  parhez-gār  kā
kyuuñ  ġhash  hue  kalīm  tajallī-e-tūr  par
vo  ik  charāġh  thā  mire  dal  ke  mazār  kā
ba.ad-e-fanā  bhī  saaf  nahīñ  dil  raqīb  se
gumbad  khaḌā  huā  hai  lahad  par  ġhubār  kā
kasrat  kā  rañg  shāhid-e-vahdat  kā  hai  banāv
vo  ek  hī  se  naam  hai  hazda  hazār  kā
nāqūs  bin  ke  pūchhne  jā.ūñ  agar  mizāj
but  bhī  kaheñge  shukr  hai  parvardigār  kā
dūlhā  kī  ye  barāt  hai  rasmeñ  adā  karo
dar  par  janāza  aayā  hai  ik  jāñ-nisār  kā
kyā  kyā  taḌap  taḌap  ke  sarāfīl  gir  paḌe
dam  aa  gayā  jo  suur  meñ  mujh  be-qarār  kā
surma  ke  saath  phail  ke  kyā  vo  bhī  miT  gayā
kyuuñ  naam  tak  nahīñ  tirī  āñkhoñ  meñ  pyaar  kā
kyā  raat  se  kisī  kī  nazar  lag  ga.ī  ise
achchhā  nahīñ  mizāj  dil-e-be-qarār  kā
āñkheñ  mirī  faqīr  huiiñ  shauq-e-dīd  meñ
tasma  kamar  meñ  hai  nigah-e-intizār  kā
lūTūñ  maze  jo  bāzī-e-shatranj  jiit  luuñ
is  khel  meñ  to  va.ada  hai  bos-e-kanār  kā
allāh  mirā  ġhafūr  mohammad  mire  shafī.a
'mā.il'  ko  ḳhauf  kuchh  nahīñ  roz-e-shumār  kā