Ahmad Husain Mail

mahshar mein chalte chalte karunga ada namaz

Ahmad Husain Mail

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1914

mahshar meñ chalte chalte karūñgā adā namāz

paḌh luñgā pul-sirāt pe 'mā.il' qazā namāz

sar jaa.e umr bhar ho yārab adā namāz

aa.e mirī qazā to paḌhūñ maiñ qazā namāz

māñgī najāt hijr se to maut aa ga.ī

roze gale paḌe jo chhuḌāne gayā namāz

dekho ki phañs na jaa.eñ farishte bhī jaal meñ

kyuuñ paḌh rahe ho khol ke zulf-e-rasā namāz

har ik sutūn ḳhāna-e-shar-e-sharīf hai

roza ho zakāt ho haj ho namāz

ye kyuuñ ḳhamīda hai sifat-e-sāhab-e-rukū

kyā paḌh rahī hai dosh pe zulf-e-dotā namāz

niyyat jo bāñdh to chalā maiñ huzūr meñ

rahbar mirī namāz mirī rahnumā namāz

saaqī qayām se ye jo aayā rukūa meñ

shīsha ḳhudā ke ḳhauf se paḌhtā hai kyā namāz

uTh uTh ke baiTh baiTh ke kartā hai kyuuñ ġhurūr

zāhid kahīñ baḌhā.e na terī riyā namāz

arkān yaad haiñ mujhe ai dāvar-e-jazā

gar hukm ho to sāmne paḌh luuñ qazā namāz

shaitān ban gayā hai farishta ġhurūr se

kyā fā.eda huā jo paḌhī jā-ba-jā namāz

le jaate haiñ mujhe sū-e-dozaḳh kashāñ kashāñ

roze mire idhar haiñ udhar hai qazā namāz

haqq-ul-yaqīñ naam urūj-e-maqām hai

paḌhte haiñ auliyā sar-e-dosh-e-havā namāz

masjid meñ pāñch vaqt duā vo bhī vasl

'mā.il' butoñ ke vāste paḌhte ho kyā namāz

Top Urdushayar.com