koī  hasīn  hai  muḳhtār-e-kār-ḳhāna-e-ishq
ki  lā-makāñ  hī  kī  chaukhaT  hai  āstāna-e-ishq
nigāheñ  DhūñDh  rahī  haiñ  dil-e-yagāna-e-ishq
ishāre  pūchh  rahe  haiñ  kahāñ  hai  ḳhāna-e-ishq
phireñge  hashr  meñ  gard-e-dil-e-yagāna-e-ishq
kareñge  pesh-e-ḳhudā  ham  tavāf-e-ḳhāna-e-ishq
na.ī  sadā  ho  na.e  hoñTh  hoñ  nayā  lahja
na.ī  zabāñ  se  kahūñ  gar  kahūñ  fasāna-e-ishq
jo  maulvī  haiñ  vo  likkheñge  kufr  ke  fatve
sunā.ūñ  sūrat-e-mansūr  agar  tarāna-e-ishq
agar  lage  to  lage  choT  mere  naale  kī
agar  paḌe  to  paḌe  dil  pe  tāziyāna-e-ishq
jo  Daal  deñ  use  patthar  pe  bhī  phale-phūle
daraḳht-e-tūr  bane  sabz  ho  ke  dāna-e-ishq
tumhīñ  kaho  jo  luTā  deñ  to  kaun  ḳhālī  ho
ḳhazāna  husn  kā  afzūñ  hai  yā  ḳhazāna-e-ishq
vo  raat  aa.e  ki  sar  terā  le  ke  baazū  par
tujhe  sulā.ūñ  bayāñ  kar  ke  maiñ  fasāna-e-ishq
vo  dar  tak  aate  nahīñ  dar  se  ham  nahīñ  uThte
udhar  bahāna-e-husn  aur  idhar  bahāna-e-ishq
sikhā.ī  kis  ne  ye  raftār  mere  naale  ko
kamar  kī  tarah  lachaktā  hai  tāziyāna-e-ishq
kisī  ko  pyaar  karegā  shabāb  meñ  tū  bhī
tire  bhī  ghar  meñ  jalegā  charāġh-e-ḳhāna-e-ishq
jo  ḳhush-navīs  mile  koī  deñge  dil  apnā
ham  is  kitāb  meñ  likhvā.eñge  fasāna-e-ishq
ga.e  haiñ  vo  mirī  mahfil  meñ  bhuul  kar  rūmāl
ye  jā-namāz  bichhā  kar  paḌhūñ  dogāna-e-ishq
kisī  ke  husn  ne  kāfir  banā  diyā  'mā.il'
lagā  ke  qashqa-e-durd-e-sharāb-ḳhāna-e-ishq