vo  but  parī  hai  nikāleñ  na  bāl-o-par  ta.avīz
haiñ  donoñ  baazū  pe  is  ke  idhar  udhar  ta.avīz
vo  ham  nahīñ  jo  hoñ  dīvāne  aise  kāmoñ  se
kise  pilāte  ho  paanī  meñ  ghol  kar  ta.avīz
uThegā  phir  na  kaleje  meñ  mīThā  mīThā  dard
agar  likhe  mire  dil  par  tirī  nazar  ta.avīz
kahāñ  vo  log  ki  jin  ke  amal  kā  shohrā  thā
kuchh  is  zamāne  meñ  rakhtā  nahīñ  asar  ta.avīz
pilāyā  saañp  ko  paanī  jo  man  nikāl  liyā
nahāne  baiThe  haiñ  choTī  se  khol  kar  ta.avīz
vahāñ  gayā  jo  koī  dil  hī  bhuul  kar  aayā
rakhe  haiñ  gaaḌ  ke  us  ne  idhar  udhar  ta.avīz
pas-e-fanā  bhī  mohabbat  kā  silsila  na  miTā
tire  gale  meñ  hai  aur  merī  qabr  par  ta.avīz
ye  bhed  hai  ki  na  murde  Dareñ  farishtoñ  se
banā  ke  qabr  banāte  haiñ  qabr  par  ta.avīz
ye  kyā  ki  zulf  meñ  rakkhā  hai  bāñdh  kar  mirā  dil
use  bhī  ghol  ke  pī  jaao  jaan  kar  ta.avīz
jo  chāñd  se  haiñ  badan  haiñ  vo  chāñd  tāroñ  meñ
guloñ  meñ  haikaleñ  haikal  ke  tā-kamar  ta.avīz
hue  haiñ  hazrat-e-'mā.il'  bhī  dil  meñ  ab  qaa.il
kuchh  aisā  likhtī  hai  ai  jaañ  tirī  nazar  ta.avīz