āftāb  aa.e  chamak  kar  jo  sar-e-jām-e-sharāb
rind  samjheñ  ki  hai  sādiq  sahar-e-jām-e-sharāb
sab  ke  hāthoñ  pe  thā  shab-bhar  safar-e-jām-e-sharāb
har  ḳhat-e-dast  banā  rah-guzar-e-jām-e-sharāb
duḳhtar-e-raz  pe  gireñ  mast  patañgoñ  kī  tarah
sham-e-mahfil  ho  ye  laḳht-e-jigar-e-jām-e-sharāb
thaam  le  dast-e-subū  aa.e  jo  chalne  meñ  lachak
ḳhat-e-baġhdād  ho  mū-e-kamar-e-jām-e-sharāb
tūr-e-sīnā  kā  gumāñ  ho  ḳhum-e-mai  par  sab  ko
is  tarah  hosh  uḌaao  asar-e-jām-e-sharāb
sāġhar-e-mai  meñ  nahīñ  partav-e-ḳhāl-e-sāqī
hai  kaf-e-duḳhtar-e-raz  meñ  sipar-e-jām-e-sharāb
ḳhaak  mai-ḳhāne  kī  ban  jaatī  qayāmat  pis  kar
har  qadam  par  jo  lachaktī  kamar-e-jām-e-sharāb
aaj  mai-noshoñ  kā  majma.a  hai  kahāñ  ai  saaqī
kaun  sī  bazm  meñ  hai  shor-o-shar-e-jām-e-sharāb
jitne  mai-ḳhvār  haiñ  saaqī  se  gale  milte  haiñ
sahar-e-īd  banī  hai  ḳhabar-e-jām-e-sharāb
shīsha-e-mai  se  uḌā  kaag  kabūtar  kī  tarah
naama  pahuñchāne  chalā  nāma-bar-e-jām-e-sharāb
mauj-e-sahbā  pe  girā  sapna-e-mīnā  uḌ  kar
hai  mire  sāmne  teġh-o-sipar-e-jām-e-sharāb
mai  pilātā  hai  agar  Dhāñp  le  siina  saaqī
tere  joban  ko  lagegī  nazar-e-jām-e-sharāb
āftāb  aa  ke  sikhātā  hai  chalan  shab-bhar  kā
raat  ko  hotā  hai  akasr  guzar-e-jām-e-sharāb
dast-e-sāqī  meñ  rahe  dast-e-qadah-kash  meñ  rahe
gardan-e-shīsha-e-sahbā  kamar-e-jām-e-sharāb
mast  karte  haiñ  do-ālam  ko  yahī  do  ḳhud-mast
lazzat-e-naġhma-e-mutrib  asar-e-jām-e-sharāb
kyā  ġhazab  hai  ki  tirā  hoñTh  na  chūse  'mā.il'
aur  ho  tere  laboñ  tak  guzar-e-jām-e-sharāb