Humaira Rahat

aankhon se kisi KHwab ko bahar nahin dekha

Humaira Rahat

1959

āñkhoñ se kisī ḳhvāb ko bāhar nahīñ dekhā

phir ishq ne aisā koī manzar nahīñ dekhā

ye shahr-e-sadāqat hai qadam soch ke rakhnā

shāne pe kisī ke bhī yahāñ sar nahīñ dekhā

ham umr basar karte rahe 'mīr' mānind

khiḌkī ko kabhī khol ke bāhar nahīñ dekhā

vo ishq ko kis tarah samajh pā.egā jis ne

sahrā se gale milte samundar nahīñ dekhā

ham apnī ġhazal ko sajāte rahe 'rāhat'

ā.īna kabhī ham ne sañvar kar nahīñ dekhā

Top Urdushayar.com