Humaira Rahat

hawa ke sath ye kaisa moamla hua hai

Humaira Rahat

1959

havā ke saath ye kaisā mo.āmla huā hai

bujhā chukī thī jise vo diyā jalā huā hai

huzūr aap koī faisla kareñ to sahī

haiñ sar jhuke hue darbār bhī lagā huā hai

khaḌe haiñ sāmne kab se magar nahīñ paḌhte

vo ek lafz jo dīvār par likhā huā hai

hai kis aks jo dekhā hai ā.īne se alag

ye kaisā naqsh hai jo ruuh par banā huā hai

ye kis ḳhvāb hai tābīr ke ta.āqub meñ

ye kaisā ashk hai jo ḳhaak meñ milā huā hai

ye kis yaad bārish meñ bhīgtā hai badan

ye kaisā phuul sar-e-shāḳh-e-jāñ khilā huā hai

sitāra TūTte dekhā to Dar ga.ī 'rāhat'

ḳhabar na thī yahī taqdīr meñ likhā huā hai

Top Urdushayar.com