ye  be-navā.ī  hamārī  saudā-e-sar  hai  ghar  meñ  basā  diyā  hai
makān  ḳhālī  hai  lekin  is  ko  nigār-ḳhāna  banā  diyā  hai
tamām  umr-e-azīz  apnī  isī  tarah  se  gañvā.ī  ham  ne
kabhī  jo  so.e  to  ḳhvāb  dekhā  kisī  ne  ham  ko  jagā  diyā  hai
na  kuchh  rahā  hai  ki  ham  hī  rakhte  na  kuchh  bachā  hai  ki  tum  ko  dete
matā-e-dil  thī  luTā  ke  aa.e  jo  qarz-e-jāñ  thā  chukā  diyā  hai
ye  shaan  dekho  qalandaroñ  kī  hai  jis  pe  dār-o-madār-e-hastī
vo  āshiyāñ  phūñk  kar  har  ik  shāḳh  par  nasheman  banā  diyā  hai
ye  zindagī  kī  sitam-zarīfī  nahīñ  to  phir  aur  kyā  hai  'āzar'
vo  jin  kī  ḳhātir  bhaTak  rahe  haiñ  unhī  ne  ham  ko  bhulā  diyā  hai