Shahid Zaki

zabt-e-gham hai meri poshak meri izzat rakh

Shahid Zaki

1974

zabt-e-ġham hai mirī poshāk mirī izzat rakh

ātish-e-dīda-e-namnāk mirī izzat rakh

khul na jaa.e ye mirī aks-farebī kisī din

ā.ina-ḳhāna-e-idrāk mirī izzat rakh

merī miTTī se charāġh-e-dar-o-dīvār banā

dar-ba-dar kar ke mirī ḳhaak mirī izzat rakh

partav-e-dāġh-e-guzishta ruḳh-e-fardā pe na Daal

gardish-e-sā.at-e-saffāk mirī izzat rakh

baḌī mushkil se banā.ī hai ye izzat maiñ ne

jazba-e-kār-e-havasnāk mirī izzat rakh

samundar se mirī ḳhaak judā kar 'shāhid'

banā de mujhe tairāk mirī izzat rakh

Top Urdushayar.com