taar  kī  jhankār  hī  se  bazm  tharrā  jaa.e  hai
gaahe  gaahe  sāz-e-hastī  yuuñ  bhī  chheḌā  jaa.e  hai
qāfila  chhūTe  zamāna  ho  gayā  lekin  hanūz
yād-e-āvāz-e-jaras  rah  rah  ke  taḌpā  jaa.e  hai
ḳhud  zamāna  ruḳh  hamārā  dekhtā  hai  ham  nahīñ
jis  taraf  muḌte  haiñ  ham  dhārā  bhī  muḌtā  jaa.e  hai
sar  jo  gardan  par  nahīñ  to  kyā  hathelī  par  sahī
manzil-e-ishq-o-junūñ  se  yūñhī  guzrā  jaa.e  hai
ham  kahāñ  Duube  the  ye  kal  pūchiyegā  aaj  to
kuchh  talātum  sā  abhī  maujoñ  meñ  paayā  jaa.e  hai
aql  vaalo  kuchh  kaho  ye  rishta-e-rāz-e-hayāt
kyuuñ  ulajhtā  jaa.e  hai  jitnā  ki  khultā  jaa.e  hai
aa  rahā  huuñ  dosto  Thahro  magar  ye  to  batāo
mujh  ko  kis  goshe  se  sahrā  ke  pukārā  jaa.e  hai