jab  qafas  meñ  mujh  ko  yād-e-āshiyāñ  aa  jaa.e  hai
sāmne  āñkhoñ  ke  ik  bijlī  sī  lahrā  jaa.e  hai
dil  mirā  vo  ḳhāna-e-vīrāñ  hai  jal  bujhne  pe  bhī
raakh  se  jis  kī  dhuāñ  tā-der  uThtā  jaa.e  hai
tum  to  Thukrā  kar  guzar  jaao  tumheñ  Tokegā  kaun
maiñ  paḌā  huuñ  raah  meñ  to  kyā  tumhārā  jaa.e  hai
chashm-e-tar  hai  is  taraf  aur  us  tarf  abr-e-bahār
dekhnā  hai  aaj  kis  se  kitnā  royā  jaa.e  hai
maiñ  to  bas  ye  jāntā  huuñ  is  ko  honā  hai  ḳharāb
kyā  ḳhabar  us  kī  mujhe  dil  aa.e  hai  yā  jaa.e  hai
merā  pindār-e-ḳhudā.ī  us  ghaḌī  dekhe  koī
jab  mujhe  banda  tirā  kah  kar  pukārā  jaa.e  hai
ab  vo  kyā  ā.eñge  tum  bhī  aañkh  jhapkā  lo  'niyāz'
sub.h  kā  taara  bhī  ab  to  jhilmilātā  jaa.e  hai