zulmat-e-dasht-e-adam  meñ  bhī  agar  jā.ūñgā
le  ke  ham-rāh  mah-e-dāġh-e-jigar  jā.ūñgā
āriz-e-gul  huuñ  na  maiñ  dīda-e-bulbul  gulchīñ
ek  jhoñkā  huuñ  faqat  san  se  guzar  jā.ūñgā
ai  fanā  TuuT  sakegī  na  kabhī  kashti-e-umr
maiñ  kisī  aur  samundar  meñ  utar  jā.ūñgā
dekh  jī  bhar  ke  magar  toḌ  na  mujh  ko  gulchīñ
haath  bhī  tū  ne  lagāyā  to  bikhar  jā.ūñgā
ek  qatra  huuñ  magar  sail-e-mohabbat  se  tire
ho  sake  jo  na  samundar  se  bhī  kar  jā.ūñgā
duur  gulshan  se  kisī  dasht  meñ  le  jā  sayyād
ham-safīroñ  ke  tarānoñ  meñ  to  mar  jā.ūñgā
sehn-e-gulshan  meñ  ka.ī  daam  bichhe  haiñ  ai  'asar'
uḌ  ke  jā.ūñ  bhī  agar  maiñ  to  kidhar  jā.ūñgā