lutf  gunāh  meñ  milā  aur  na  maza  savāb  meñ
umr  tamām  kaT  ga.ī  kāvish-e-ehtisāb  meñ
tere  shabāb  ne  kiyā  mujh  ko  junūñ  se  āshnā
mere  junūñ  ne  bhar  diye  rañg  tirī  shabāb  meñ
aah  ye  dil  ki  jāñ-gudāz  joshish-e-iztirāb  hai
haa.e  vo  daur  jab  kabhī  lutf  thā  iztirāb  meñ
qalb  taḌap  taḌap  uThā  ruuh  laraz  laraz  ga.ī
bijliyāñ  thiiñ  bharī  huī  zamzama-e-rubāb  meñ
charḳh  bhī  mai-parast  hai  bazm-e-zamīñ  bhī  mast  hai
ġharq-e-buland-o-past  hai  jalva-e-māhtāb  meñ
mere  liye  ajiib  haiñ  terī  ye  muskurāhaTeñ
jaag  rahā  huuñ  yā  tujhe  dekh  rahā  huuñ  ḳhvāb  meñ
mere  sukūt  meñ  nihāñ  hai  mire  dil  kī  dāstāñ
jhuk  ga.ī  chashm-e-fitna-zā  Duub  ga.ī  hijāb  meñ
lazzat-e-jām-e-jam  kabhī  talḳhi-e-zahr-e-ġham  kabhī
ishrat-e-zīst  hai  'asar'  gardish-e-inqilāb  meñ