Jaun Eliya

kabhi kabhi to bahut yaad aane lagte ho

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002

kabhī kabhī to bahut yaad aane lagte ho

ki rūThte ho kabhī aur manāne lagte ho

gilā to ye hai tum aate nahīñ kabhī lekin

jab aate bhī ho to fauran jaane lagte ho

ye baat 'jaun' tumhārī mazāq hai ki nahīñ

ki jo bhī ho use tum āzmāne lagte ho

tumhārī shā.irī kyā hai burā bhalā kyā hai

tum apne dil udāsī ko gaane lagte ho

surūd-e-ātish-e-zarrīn-e-sahn-e-ḳhāmoshī

vo daaġh hai jise har shab jalāne lagte ho

sunā hai kāhkashānoñ meñ roz-o-shab nahīñ

to phir tum apnī zabāñ kyuuñ jalāne lagte ho

Top Urdushayar.com