Jaun Eliya

ek hunar hai jo kar gaya hun main

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ik hunar hai jo kar gayā huuñ maiñ
sab ke dil se utar gayā huuñ maiñ
kaise apnī hañsī ko zabt karūñ
sun rahā huuñ ki ghar gayā huuñ maiñ
kyā batā.ūñ ki mar nahīñ paatā
jīte-jī jab se mar gayā huuñ maiñ
ab hai bas apnā sāmnā dar-pesh
har kisī se guzar gayā huuñ maiñ
vahī nāz-o-adā vahī ġhamze
sar-ba-sar aap par gayā huuñ maiñ
ajab ilzām huuñ zamāne kā
ki yahāñ sab ke sar gayā huuñ maiñ
kabhī ḳhud tak pahuñch nahīñ paayā
jab ki vaañ umr bhar gayā huuñ maiñ
tum se jānāñ milā huuñ jis din se
be-tarah ḳhud se Dar gayā huuñ maiñ
kū-e-jānāñ meñ sog barpā hai
ki achānak sudhar gayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com