ruuh pyāsī kahāñ se aatī hai
ye udāsī kahāñ se aatī hai
hai vo yak-sar supurdagī to bhalā
bad-havāsī kahāñ se aatī hai
vo ham-āġhosh hai to phir dil meñ
nā-shanāsī kahāñ se aatī hai
ek zindān-e-be-dilī aur shaam
ye sabā sī kahāñ se aatī hai
tū hai pahlū meñ phir tirī ḳhushbū
ho ke baasī kahāñ se aatī hai
dil hai shab-soḳhta sivā.e ummīd
tū nidā sī kahāñ se aatī hai
maiñ huuñ tujh meñ aur aas huuñ terī
to nirāsī kahāñ se aatī hai