Jaun Eliya

aap apna ghubar the hum to

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
aap apnā ġhubār the ham to
yaad the yādgār the ham to
pardagī ham se kyuuñ rakhā parda
tere hī parda-dār the ham to
vaqt kī dhuup meñ tumhāre liye
shajar-e-sāya-dār the ham to
uḌe jaate haiñ dhuul ke mānind
āñdhiyoñ par savār the ham to
ham ne kyuuñ ḳhud pe e.atibār kiyā
saḳht be-e'tibār the ham to
sharm hai apnī baar baarī kī
be-sabab baar baar the ham to
kyuuñ hameñ kar diyā gayā majbūr
ḳhud hī be-iḳhtiyār the ham to
tum ne kaise bhulā diyā ham ko
tum se hī musta.ār the ham to
ḳhush na aayā hameñ jiye jaanā
lamhe lamhe pe baar the ham to
sah bhī lete hamāre ta.anoñ ko
jān-e-man jāñ-nisār the ham to
ḳhud ko daurān-e-hāl meñ apne
be-tarah nāgavār the ham to
tum ne ham ko bhī kar diyā barbād
nādir-e-rozgār the ham to
ham ko yāroñ ne yaad bhī na rakhā
'jaun' yāroñ ke yaar the ham to
Top Urdushayar.com