Jaun Eliya

dil ne kiya hai qasd-e-safar ghar sameT lo

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002

dil ne kiyā hai qasd-e-safar ghar sameT lo

jaanā hai is dayār se manzar sameT lo

āzādgī meñ shart bhī hai ehtiyāt

parvāz hai izn magar par sameT lo

hamla hai chaar dar-o-dīvār-e-shahr

sab jañgaloñ ko shahr ke andar sameT lo

bikhrā huā huuñ sarsar-e-shām-e-firāq se

ab aa bhī jaao aur mujhe aa kar sameT lo

rakhtā nahīñ hai koī na-gufta yaañ hisāb

jo kuchh hai dil meñ us ko laboñ par sameT lo

Top Urdushayar.com