dil  kitnā  ābād  huā  jab  diid  ke  ghar  barbād  hue
vo  bichhḌā  aur  dhyān  meñ  us  ke  sau  mausam  ījād  hue
nāmvarī  kī  baat  digar  hai  varna  yaaro  socho  to
gulgūñ  ab  tak  kitne  teshe  be-ḳhūn-e-farhād  hue
lā.eñge  kahāñ  se  bol  rasīle  hoñToñ  kī  nādārī  meñ
samjho  ek  zamāna  guzrā  bosoñ  kī  imdād  hue
tum  merī  ik  ḳhud-mastī  ho  maiñ  huuñ  tumhārī  ḳhud-bīnī
rishte  meñ  ik  ishq  ke  ham  tum  donoñ  be-buniyād  hue
merā  kyā  ik  mauj-e-havā  huuñ  par  yuuñ  hai  ai  ġhuncha-dahan
tū  ne  dil  kā  baaġh  jo  chhoḌā  ġhunche  be-ustād  hue
ishq-mohalle  meñ  ab  yaaro  kyā  koī  ma.ashūq  nahīñ
kitne  qātil  mausam  guzre  shor  hue  fariyād  hue
ham  ne  dil  ko  maar  rakhā  hai  aur  jatāte  phirte  haiñ
ham  dil  zaḳhmī  mizhgāñ  ḳhūnīñ  ham  na  hue  jallād  hue
barq  kiyā  hai  aks-e-badan  ne  tere  hameñ  ik  tañg  qabā
tere  badan  par  jitne  til  haiñ  saare  ham  ko  yaad  hue
tū  ne  kabhī  sochā  to  hogā  sochā  bhī  ai  mast-adā
terī  adā  kī  ābādī  par  kitne  ghar  barbād  hue
jo  kuchh  bhī  rūdād-e-suḳhan  thī  hoñToñ  kī  duurī  se  thī
jab  hoñToñ  se  hoñT  mile  to  yak-dam  be-rūdād  hue
ḳhāk-nashīnoñ  se  kūche  ke  kyā  kyā  naḳhvat  karte  haiñ
jānāñ  jaan  tire  darbāñ  to  fir.aun-o-shaddād  hue
shahroñ  meñ  hī  ḳhaak  uḌā  lo  shor  machā  lo  be-jā  lo
jin  dashtoñ  kī  soch  rahe  ho  vo  kab  ke  barbād  hue
samtoñ  meñ  bikhrī  vo  ḳhalvat  vo  dil  kī  rañg-e-ābādī
ya.anī  vo  jo  bām-o-dar  the  yaksar  gard-o-bād  hue
tū  ne  rindoñ  kā  haq  maarā  mai-ḳhāne  meñ  raat  ga.e
shaiḳh  khare  sayyad  haiñ  ham  to  ham  ne  sunāyā  shaad  hue