Jaun Eliya

furqat mein waslat barpa hai allah-hu ke baade mein

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
furqat meñ vaslat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
āshob-e-vahdat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
rūh-e-kul se sab rūhoñ par vasl kī hasrat taarī hai
ik sar-e-hikmat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
be-ahvālī kī hālat hai shāyad yā shāyad ki nahīñ
par ahvāliyyat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
muḳhtārī ke lab silvānā jabr ajab-tar Thahrā hai
haijān-e-ġhairat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
baabā alif irshād-kunāñ haiñ pesh-e-adam ke baare meñ
hairat be-hairat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
ma.anī haiñ lafzoñ se barham qahr-e-ḳhamoshī aalam hai
ek ajab hujjat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
maujūdī se inkārī hai apnī zid meñ nāz-e-vajūd
hālat sī hālat barpā hai allāh-hū ke baaḌe meñ
Top Urdushayar.com