Jaun Eliya

nashsha-e-shauq-e-rang mein tujhse judai ki gai

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
nashsha-e-shauq-e-rañg meñ tujh se judā.ī kī ga.ī
ek lakīr ḳhuun kī beach meñ khīñch dī ga.ī
thī jo kabhī sar-e-suḳhan merī vo ḳhāmushī ga.ī
haa.e kuhan-e-sinan kī baat haa.e vo baat hī ga.ī
shauq kī ek umr meñ kaise badal sakegā dil
nabz-e-junūn hī to thī shahr meñ Dūbtī ga.ī
us kī galī se uTh ke maiñ aan paḌā thā apne ghar
ek galī kī baat thī aur galī galī ga.ī
us kī ummīd naaz kā mujh se ye maan thā ki aap
umr guzār dījiye umr guzār dī ga.ī
daur-ba-daur dil-ba-dil dard-ba-dard dam-ba-dam
tere yahāñ ri.āyat-e-hāl nahīñ rakhī ga.ī
'jaun' junūb-e-zard ke ḳhāk-basar ye dukh uThā
mauj-e-shumāl-e-sabz-jāñ aa.ī thī aur chalī ga.ī
kyā vo gumāñ nahīñ rahā haañ vo gumāñ nahīñ rahā
kyā vo umiid bhī ga.ī haañ vo umiid bhī ga.ī
Top Urdushayar.com