nashsha-e-shauq-e-rañg  meñ  tujh  se  judā.ī  kī  ga.ī
ek  lakīr  ḳhuun  kī  beach  meñ  khīñch  dī  ga.ī
thī  jo  kabhī  sar-e-suḳhan  merī  vo  ḳhāmushī  ga.ī
haa.e  kuhan-e-sinan  kī  baat  haa.e  vo  baat  hī  ga.ī
shauq  kī  ek  umr  meñ  kaise  badal  sakegā  dil
nabz-e-junūn  hī  to  thī  shahr  meñ  Dūbtī  ga.ī
us  kī  galī  se  uTh  ke  maiñ  aan  paḌā  thā  apne  ghar
ek  galī  kī  baat  thī  aur  galī  galī  ga.ī
us  kī  ummīd  naaz  kā  mujh  se  ye  maan  thā  ki  aap
umr  guzār  dījiye  umr  guzār  dī  ga.ī
daur-ba-daur  dil-ba-dil  dard-ba-dard  dam-ba-dam
tere  yahāñ  ri.āyat-e-hāl  nahīñ  rakhī  ga.ī
'jaun'  junūb-e-zard  ke  ḳhāk-basar  ye  dukh  uThā
mauj-e-shumāl-e-sabz-jāñ  aa.ī  thī  aur  chalī  ga.ī
kyā  vo  gumāñ  nahīñ  rahā  haañ  vo  gumāñ  nahīñ  rahā
kyā  vo  umiid  bhī  ga.ī  haañ  vo  umiid  bhī  ga.ī