Jaun Eliya

dil ko duniya ka hai safar darpesh

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002

dil ko duniyā hai safar darpesh

aur chāroñ taraf hai ghar darpesh

hai ye aalam ajiib aur yahāñ

mājrā hai ajīb-tar darpesh

do jahāñ se guzar gayā phir bhī

maiñ rahā ḳhud ko umr bhar darpesh

ab maiñ kū-e-abas shitāb chalūñ

ka.ī ik kaam haiñ udhar darpesh

us ke dīdār ummīd kahāñ

jab ki hai diid ko nazar darpesh

ab mirī jaan bach ga.ī yaanī

ek qātil hai sipar darpesh

kis tarah kuuch par kamar bāñdhūñ

ek rahzan hai kamar darpesh

ḳhalvat-e-nāz aur ā.īna

ḳhud-nigar ko hai ḳhud-nigar darpesh

Top Urdushayar.com