Jaun Eliya

yaadon ka hisab rakh raha hun

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
yādoñ kā hisāb rakh rahā huuñ
siine meñ azaab rakh rahā huuñ
tum kuchh kahe jaao kyā kahūñ maiñ
bas dil meñ javāb rakh rahā huuñ
dāman meñ kiye haiñ jam.a girdāb
jeboñ meñ habāb rakh rahā huuñ
aa.egā vo naḳhvatī so maiñ bhī
kamre ko ḳharāb rakh rahā huuñ
tum par maiñ sahīfa-hā-e-kohna
ik taaza kitāb rakh rahā huuñ
Top Urdushayar.com