Jaun Eliya

sar hi ab phoDiye nadamat mein

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
sar hī ab phoḌiye nadāmat meñ
niiñd aane lagī hai furqat meñ
haiñ dalīleñ tire ḳhilāf magar
sochtā huuñ tirī himāyat meñ
ruuh ne ishq kā fareb diyā
jism ko jism kī adāvat meñ
ab faqat ādatoñ kī varzish hai
ruuh shāmil nahīñ shikāyat meñ
ishq ko darmiyāñ na laao ki maiñ
chīḳhtā huuñ badan kī usrat meñ
ye kuchh āsān to nahīñ hai ki ham
rūThte ab bhī haiñ muravvat meñ
vo jo ta.amīr hone vaalī thī
lag ga.ī aag us imārat meñ
zindagī kis tarah basar hogī
dil nahīñ lag rahā mohabbat meñ
hāsil-e-kun hai ye jahān-e-ḳharāb
yahī mumkin thā itnī ujlat meñ
phir banāyā ḳhudā ne aadam ko
apnī sūrat pe aisī sūrat meñ
aur phir aadmī ne ġhaur kiyā
chhipkilī kī latīf san.at meñ
ai ḳhudā jo kahīñ nahīñ maujūd
kyā likhā hai hamārī qismat meñ
Top Urdushayar.com