Jaun Eliya

jao qarar-e-be-dilan sham-ba-KHair shab-ba-KHair

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
jaao qarār-e-be-dilāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
sahn huā dhuāñ dhuāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
shām-e-visāl hai qarīb sub.h-e-kamāl hai qarīb
phir na raheñge sargirāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
vajd karegī zindagī jism-ba-jism jāñ-ba-jāñ
jism-ba-jism jāñ-ba-jāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
ai mire shauq kī umañg mere shabāb kī tarañg
tujh pe shafaq kā sā.ebāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
tū mirī shā.erī meñ hai rañg-e-tarāz o gul-fishāñ
terī bahār be-ḳhizāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
terā ḳhayāl ḳhvāb ḳhvāb ḳhalvat-e-jāñ kī āb-o-tāb
jism-e-jamīl-e-o-naujavāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
hai mirā nām-e-arjumand terā hisār-e-sar-buland
bāno-e-shahr-e-jism-o-jāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
diid se jān-e-dīd tak dil se ruḳh-e-umīd tak
koī nahīñ hai darmiyāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
ho ga.ī der jaao tum mujh ko gale lagāo tum
tū mirī jaañ hai merī jaañ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair mauj-e-shamīm-e-pairahan
terī mahak rahegī yaañ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
Top Urdushayar.com