shauq  kā  rañg  bujh  gayā  yaad  ke  zaḳhm  bhar  ga.e
kyā  mirī  fasl  ho  chukī  kyā  mire  din  guzar  ga.e
rah-guzār-e-ḳhayāl  meñ  dosh-ba-dosh  the  jo  log
vaqt  kī  gard-bād  meñ  jaane  kahāñ  bikhar  ga.e
shaam  hai  kitnī  be-tapāk  shahr  hai  kitnā  sahm-nāk
ham-nafaso!  kahāñ  ho  tum  jaane  ye  sab  kidhar  ga.e!
pās-e-hayāt  kā  ḳhayāl  ham  ko  bahut  burā  lagā
pas  ba-hujūm-e-ma.arka  jaan  ke  be-sipar  ga.e
maiñ  to  safoñ  ke  darmiyāñ  kab  se  paḌā  huuñ  nīm-jāñ
mere  tamām  jāñ-nisār  mere  liye  to  mar  ga.e