Jaun Eliya

ruTha tha tujhse yani KHud apni KHushi se main

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
rūThā thā tujh se ya.anī ḳhud apnī ḳhushī se maiñ
phir us ke ba.ad jaan na rūThā kisī se maiñ
bāñhoñ se merī vo abhī ruḳhsat nahīñ huā
par gum huuñ intizār meñ us ke abhī se maiñ
dam-bhar tirī havas se nahīñ hai mujhe qarār
halkān ho gayā huuñ tirī dilkashī se maiñ
is taur se huā thā judā apnī jaan se
jaise bhulā sakūñgā use aaj hī se maiñ
ai tarah-dār-e-ishva-tarāz-e-dayār-e-nāz
ruḳhsat huā huuñ tere liye dil-galī se maiñ
tū hī harīm-e-jalva hai hañgām-e-rañg hai
jānāñ bahut udaas huuñ apnī kamī se maiñ
kuchh to hisāb chāhiye ā.īne se tujhe
lūñgā tirā hisāb mirī jaañ tujhī se maiñ
Top Urdushayar.com