Jaun Eliya

shahr-ba-shahr kar safar zad-e-safar liye baghair

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002

shahr-ba-shahr kar safar zād-e-safar liye baġhair

koī asar kiye baġhair koī asar liye baġhair

koh-o-kamar meñ ham-safīr kuchh nahīñ ab ba-juz havā

dekhiyo palaTiyo na aaj shahr se par liye baġhair

vaqt ke ma.arke meñ thiiñ mujh ko ri.āyateñ havas

maiñ sar-e-ma.arka gayā apnī sipar liye baġhair

kuchh bhī ho qatl-gāh meñ husn-e-badan hai zarar

ham na kahīñ se ā.eñge dosh pe sar liye baġhair

qarya-e-girya meñ mirā girya hunar-varāna hai

yaañ se kahīñ Talūñgā maiñ dād-e-hunar liye baġhair

us ke bhī kuchh gile haiñ dil un hisāb tum rakho

diid ne us meñ basar us ḳhabar liye baġhair

us suḳhan bhī se hai aur vo ye ki 'jaun' tum

shohra-e-shahar ho to kyā shahr meñ ghar liye baġhair

Top Urdushayar.com