ai  subah  maiñ  ab  kahāñ  rahā  huuñ
ḳhvāboñ  hī  meñ  sarf  ho  chukā  huuñ
sab  mere  baġhair  mutma.in  hoñ
maiñ  sab  ke  baġhair  jī  rahā  huuñ
kyā  hai  jo  badal  ga.ī  hai  duniyā
maiñ  bhī  to  bahut  badal  gayā  huuñ
go  apne  hazār  naam  rakh  luuñ
par  apne  sivā  maiñ  aur  kyā  huuñ
maiñ  jurm  kā  e'tirāf  kar  ke
kuchh  aur  hai  jo  chhupā  gayā  huuñ
maiñ  aur  faqat  usī  kī  ḳhvāhish
aḳhlāq  meñ  jhuuT  boltā  huuñ
ik  shaḳhs  jo  mujh  se  vaqt  le  kar
aaj  aa  na  sakā  to  ḳhush  huā  huuñ
har  shaḳhs  se  be-niyāz  ho  jā
phir  sab  se  ye  kah  ki  maiñ  ḳhudā  huuñ
charke  to  tujhe  diye  haiñ  maiñ  ne
par  ḳhuun  bhī  maiñ  hī  thūktā  huuñ
royā  huuñ  to  apne  dostoñ  meñ
par  tujh  se  to  hañs  ke  hī  milā  huuñ
ai  shaḳhs  maiñ  terī  justujū  se
bezār  nahīñ  huuñ  thak  gayā  huuñ
maiñ  sham-e-sahar  kā  naġhma-gar  thā
ab  thak  ke  karāhne  lagā  huuñ
kal  par  hī  rakho  vafā  kī  bāteñ
maiñ  aaj  bahut  bojhā  huā  huuñ
koī  bhī  nahīñ  hai  mujh  se  nādim
bas  tai  ye  huā  ki  maiñ  burā  huuñ