Naseer Koti

tabah kar ke har ek naqsh-e-jism-o-jaan humne

Naseer Koti

tabāh kar ke har ik naqsh-e-jism-o-jāñ ham ne

banā diyā hai mohabbat ko jāvedāñ ham ne

ġhalat-ravī pe tirī tabsira muhāl na thā

tirā lihāz kiyā mīr-e-kārvāñ ham ne

hamāre dīda-e-be-āb ko na ta.ane do

luTā diyā hai sitāroñ ik jahāñ ham ne

haTī haTī se tavajjoh ye ahl-e-mahfil

badal diyā hai kahīñ rañg-e-dāstāñ ham ne

sitam kiye haiñ bahut dil pe ye haqīqat hai

ayaañ na kar ke vafūr-e-ġham-e-nihāñ ham ne

na-jāne rāz-e-mohabbat hashr kyā hogā

banā liye haiñ ka.ī apne rāz-dāñ ham ne

nigāh sirf tahayyur havās vārafta

liyā thā jazb-e-mohabbat imtihāñ ham ne

na jaane kaun aafat 'nasīr' ho nāzil

agar chaman meñ kiyā zikr-e-āshiyāñ ham ne

Top Urdushayar.com