Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

fasl-e-gul ki hai aabru humse

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

fasl-e-gul hai aabrū ham se

ham se hai sail-e-rañg-o-bū ham se

husn-e-fitrat ke rāzdār haiñ ham

phuul karte haiñ guftugū ham se

farsh gul par ba-vaqt-e-sub.h-e-nasīm

aa ke miltī hai bā-vazū ham se

ham shahīd-e-ġham-o-alam sahī

zindagī to hai surḳh-rū ham se

naam saaqī ho gayā varna

mai-kade meñ hai hā-o-hū ham se

bazm-e-rindāñ meñ ab bhī baaqī hai

vaq.at-e-bāda-o-subū ham se

ham se hai 'dard'-o-'dāġh' azmat

ham se hai nām-e-'ārzū' ham se

sīkhnā ho to siikh le 'manshā'

koī andāz-e-justujū ham se

Top Urdushayar.com