Ashraf Ali Ashraf

inqilabi soch shair ka qalam apni jagah

Ashraf Ali Ashraf

Sindh, Pakistan

1984
inqilābī soch shā.ir kā qalam apnī jagah
aap kī añgḌā.iyāñ zulfoñ kā ḳham apnī jagah
jāntā huuñ maiñ tumhāre bātinī kirdār ko
jubba-o-dastār-e-ālī-mohtaram apnī jagah
ham rahe apnī anā meñ kho na badlī aap ne
aap bhī apnī jagah haiñ aur ham apnī jagah
aap kī har baat ko taslīm farmāyā gayā
aap ke farmān ke sab besh-o-kam apnī jagah
us ke aane kī lagan meñ jī rahā huuñ is tarah
kaan aahaT par lage aTkā hai dam apnī jagah
sū-e-maqtal jab chalā 'ashraf' uThā kar zindagī
sar-kashīda thā mirī āñkhoñ kā nam apnī jagah
Top Urdushayar.com