inqilābī  soch  shā.ir  kā  qalam  apnī  jagah
aap  kī  añgḌā.iyāñ  zulfoñ  kā  ḳham  apnī  jagah
jāntā  huuñ  maiñ  tumhāre  bātinī  kirdār  ko
jubba-o-dastār-e-ālī-mohtaram  apnī  jagah
ham  rahe  apnī  anā  meñ  kho  na  badlī  aap  ne
aap  bhī  apnī  jagah  haiñ  aur  ham  apnī  jagah
aap  kī  har  baat  ko  taslīm  farmāyā  gayā
aap  ke  farmān  ke  sab  besh-o-kam  apnī  jagah
us  ke  aane  kī  lagan  meñ  jī  rahā  huuñ  is  tarah
kaan  aahaT  par  lage  aTkā  hai  dam  apnī  jagah
sū-e-maqtal  jab  chalā  'ashraf'  uThā  kar  zindagī
sar-kashīda  thā  mirī  āñkhoñ  kā  nam  apnī  jagah