maiñ  kah  rahā  huuñ  sar-e-ām  barmalā  baabā
gumān  hai  bhare  mele  meñ  kho  gayā  baabā
kaḌī  hai  dhuup  tamāzat  se  paañv  jalte  haiñ
jo  sā.ebān  saroñ  par  thā  kyā  huā  baabā
zarā  sī  baat  pe  āñkheñ  barasne  lagtī  haiñ
kahāñ  se  DhūñD  ke  lā.ūñgā  hausla  baabā
tumhāre  ba.ad  to  lamhe  nahīñ  guzarte  haiñ
abhī  to  umr  kā  baaqī  hai  marhala  baabā
bas  ek  umr  bachchī  hai  tumhārī  yaad  liye
ab  apne  paas  bachā  bhī  hai  aur  kyā  baabā
rukī  jo  saañs  tumhārī  badal  ga.ī  duniyā
kahāñ  vo  rabt  kisī  se  jo  pahle  thā  baabā
maiñ  tiin  pahar  se  baiThā  huā  huuñ  qabr  ke  paas
ab  apne  karb  sameTo  ki  maiñ  chalā  baabā
agar  satāyā  zamāne  ne  zahr  khā  lūñgā
tumhārā  beTā  hai  'ashraf'  bhī  sar-phirā  baabā