ham  bhī  kuchh  kuchh  ḳharāb  ho  jaa.eñ
duur  saare  hijāb  ho  jaa.eñ
chāñd  bādal  kī  oT  se  nikle
ġham  ye  saare  naqāb  ho  jaa.eñ
kuchh  to  apnī  nazar  bhī  āvāra
kuchh  ab  vo  māhtāb  ho  jaa.eñ
kaun  phir  un  se  dil  kī  baat  kahe
jab  vo  aalī  janāb  ho  jaa.eñ
chhū  ke  nikleñ  jo  tere  hoñToñ  ko
lafz  saare  gulāb  ho  jaa.eñ
dhāñdlī  kar  ke  hī  sahī  lekin
ham  tirā  intiḳhāb  ho  jaa.eñ
vo  to  devī  hai  husn  kī  'ashraf'
us  ko  dekhe  savāb  ho  jaa.eñ