kisī  ḳhatā  se  hameñ  inhirāf  thoḌī  hai
hamārā  ḳhud  se  koī  iḳhtilāf  thoḌī  hai
basāratoñ  ke  alam-dār  haiñ  yahāñ  kuchh  log
har  ik  nazar  pe  añdherā  ġhilāf  thoḌī  hai
kabhī  to  ham  bhī  tumhārā  surāġh  pā  leñge
tumhārā  shahr  koī  koh-e-qāf  thoḌī  hai
ye  ā.īna  tumheñ  tum  sā  dikhā  nahīñ  saktā
agarche  saaf  hai  utnā  bhī  saaf  thoḌī  hai
zabān-e-ḳhalq  ko  naqqāra-e-ḳhudā  samjho
ye  jānte  haiñ  sabhī  inkishāf  thoḌī  hai
zamīñ  kā  ghaav  hai  miTTī  se  bhar  hī  jā.egā
hamāre  dil  kī  tarah  kā  shigāf  thoḌī  hai
ham  ehtijāj  bapā  kar  rahe  haiñ  apne  ḳhilāf
hamārā  shahar  hamāre  ḳhilāf  thoḌī  hai
isī  liye  to  nahātā  hai  bārishoñ  meñ  vajūd
hai  ābdīda  magar  e'tirāf  thoḌī  hai