Akhtar Saeedi

ki justuju to ek naya ghar mila mujhe

Akhtar Saeedi

Sindh, Pakistan

1958

justujū to ek nayā ghar milā mujhe

barsoñ ke ba.ad merā muqaddar milā mujhe

jab tishnagī baḌhī to masīhā na thā koī

jab pyaas bujh ga.ī to samundar milā mujhe

duniyā mire ḳhilāf nabard-āzmā rahī

lekin vo ek shaḳhs barābar milā mujhe

zaḳhm-e-nigāh zaḳhm-e-hunar zaḳhm-e-dil ke ba.ad

ik aur zaḳhm tujh se bichhaḌ kar milā mujhe

nāzuk-ḳhayāliyoñ mujhe ye sazā milī

shīsha tarāshne ko bhī patthar milā mujhe

Top Urdushayar.com