Zaki kakorvi

ai dil teri aahon mein itna to asar aae

Zaki kakorvi

Kakori, Uttar pradesh, India

ai dil tirī aahoñ meñ itnā to asar aa.e

jab yaad karūñ un tasvīr nazar aa.e

har chand hasīñ the tum har chand javāñ the tum

par ishq ke saa.e meñ kuchh aur nikhar aa.e

maiñ khel samajhtā thā mujh ko ye ḳhabar kyā thī

kyā jāniye kab mere dil meñ vo utar aa.e

us husn ke jalvoñ ne kuchh sehr kiyā aisā

nazroñ meñ na merī phir kuchh shams-o-qamar aa.e

phir kis se mileñ nazreñ phir kis ne mujhe chheḌā

phir daur-e-mohabbat ke sab naqsh ubhar aa.e

tūfān-e-havādis ne kab kab na hameñ gherā

dariyā-e-mohabbat meñ kyā kyā na bhañvar aa.e

halkī siyāhī hai tahrīr-e-mohabbat

aañsū jagah bah kar phir ḳhūn-e-jigar aa.e

manzil tamannā ne rukne na diyā us ko

raste meñ musāfir ke go laakh shajar aa.e

pur-ḳhār thiiñ vīrāñ thiiñ rāheñ to mohabbat

jāñbāz tire lekin be-ḳhauf-o-ḳhatar aa.e

go laakh kahā dil ne ruk jaao Thahar jaao

ham phir bhī na jaane kyuuñ chup-chāp guzar aa.e

kyā aur na thā koī jo un ko samajh paatā

bāzār-e-jihālat meñ kyuuñ ahl-e-hunar aa.e

is daur-e-taraqqī meñ bas vo hai 'zakī' achchhā

jo sīdhe ulTe har kaam ko kar aa.e

Top Urdushayar.com