tire  iltifāt  kī  baat  thī  tirī  be-ruḳhī  ke  gile  na  the
tujhe  shāyad  us  kī  ḳhabar  to  ho  ki  hamāre  hoñT  sile  na  the
kisī  ahl-e-dard  se  pochhiye  zarā  is  chaman  kā  mo.āmla
vo  chaman  ki  fasl-e-bahār  meñ  bhī  jahāñ  pe  phuul  khile  na  the
ye  rah-e-talab  kī  masāfateñ  kahīñ  ḳhaar  hai  kahīñ  daar  hai
sar-e-kū-e-yār  khaḌe  the  yuuñ  ki  qadam  hamāre  hile  na  the
bhalā  arz-e-ġham  se  guzar  ke  bhī  kabhī  tum  se  koī  gila  kiyā
ye  junūn-e-ishq  ke  tazkire  to  mirī  vafā  ke  sile  na  the
jo  adū  ko  bazm  huī  to  kyā  vo  kuchh  is  tarah  haiñ  gurez-pā
kisī  raah  meñ  kisī  moḌ  par  kabhī  jaise  ham  se  mile  na  the