zabt-e-ulfat  kā  yahī  ham  ko  silā  mil  jaa.e
dasht  meñ  aur  koī  ābla-pā  mil  jaa.e
āgahī  aur  ka.ī  naqsh  banā  saktī  hai
tum  jo  insān  ko  DhūñDo  to  ḳhudā  mil  jaa.e
yahī  behtar  hai  ki  ḳhud  raah  meñ  gum  ho  jaa.eñ
is  se  pahle  ki  koī  rāh-numā  mil  jaa.e
aao  zanjīr  kī  jhankār  pe  ham  raqs  kareñ
kyā  ta.ajjub  jo  yūñhī  jins-e-vafā  mil  jaa.e
isī  dhun  meñ  to  ham  āvāra  phirā  karte  haiñ
kahīñ  shāyad  tire  āñchal  kī  havā  mil  jaa.e
ab  tirā  dhyān  hai  yuuñ  jaise  añdherī  shab  meñ
ittifāqan  koī  miTTī  kā  diyā  mil  jaa.e