Asrar Zaidi

ghar ki surat jo bhi ho us par hirasan main nahin

Asrar Zaidi

ghar sūrat jo bhī ho us par hirāsāñ maiñ nahīñ

dar muqaffal haiñ to dīvāroñ se larzāñ maiñ nahīñ

tujh meñ himmat hai so phir shīshe meñ mujh ko bhī utaar

haañ magar ye jaan le itnā bhī āsāñ maiñ nahīñ

nafratoñ tah meñ kitnī chāhateñ haiñ ye to soch

gurezāñ ho to ho tujh se gurezāñ maiñ nahīñ

raushnī dil meñ agar ho ik sitāra bahut

Dūbte sūraj ke manzar se pareshāñ maiñ nahīñ

maiñ ki apnī zaat meñ sho.ala bhī huuñ shabnam bhī huuñ

phir bhī apne-āp se dast-o-garebāñ maiñ nahīñ

rāste ke pech-o-ḳham mere lahū taak meñ

baḳht ke andhe kueñ meñ pā-ba-jaulāñ maiñ nahīñ

mausamoñ dhuup se kajlā gayā chehre rañg

aadmī huuñ be-niyām-e-barq-o-tūfāñ maiñ nahīñ

sochtā huuñ kis ḳharābe meñ mujhe laayā gayā

apne hone par ba-har-sūrat pashemāñ maiñ nahīñ

Top Urdushayar.com