Asrar Zaidi

dil na de sath to gham kaise saha jaega

Asrar Zaidi

dil na de saath to ġham kaise sahā jā.egā
ki usī ghar meñ ye sailāb-e-balā jā.egā
ik musāfir hai vo us kī koī manzil hī nahīñ
jis taraf bhī qadam uTTheñge chalā jā.egā
maiñ to is jabr-e-musalsal meñ bhī lab-basta nahīñ
yuuñ samajh le tirā har tiir ḳhatā jā.egā
barf pighlegī to mausam bhī badal jā.eñge
pau phaTegī to ujālā nazar aa jā.egā
lamha lamha mire hone kī gavāhī degā
patte patte pe mirā naam likhā jā.egā
ruuh kā zaḳhm hai is par koī marham na lagā
zahr phailegā to nas nas meñ samā jā.egā
Top Urdushayar.com